Na Abr hai na Hawa Neend kyun nahi aati,
Advertisement
->
Na Abr hai na Hawa Neend kyun nahi aati,
Baras chuki hai Ghata Neend kyun nahi aati,
Naye Naye the Judaai k din to baat b thi,
Wo Daur Beet chuka Neend kyun nahi aati,
Bichharr hi jaate hain Duniya mein Chaahne wale,
Chalo huwa so huwa Neend kyun nahi aati,
Ye Izteraab kahan tak Jagaaye ga Mujh ko,
K Chaand Doob chuka Neend kyun nahi aati,
Ye Ratjage DIL-e-Betaab Maar daalen ge,
Kya Elaaj hai kia Neend kyun nahi aati…!
Random SMS
Filed Under: Urdu Poetry SMS













